07.06.08
ek ashiq ki zubaan se…
mat puch mere dil ka haal e musafir ,
ke tu janta hai is dil mein ek ashiq basta hai,
usse dekh pyar ho jana nakaafi tha,
ke uski yaad mein ab har pal tadapta hai.
-saranjali
08.11.06
char panktiyan aur…..
tere chehre ka nuur jo meri aankhon pe aaya
ghum ho gaye hosh jab woh dil mein samaya
kab tujhse mohabbat ho gayi e zalim
na tum jaan paye, na main samajh paya
teri dhoop mein main apni parchhayi dhoondta hoon
sang jo guzaari wo saanjh dhoondta hoon
tujhe pane ki chahat nahin hai mujhko
tere dil mein main apni ek jhalak dhoondta hoon
- saranjali
03.28.06
Hum Tum
tamannaon ke sehra mein
agar hum ghum ho jayenge
khuda ki hai kasam humko
tumhe na bhool payenge!!
hawa panchi ghata badal
shor kyon karte ithala ke
tumhare pehloo se guzaren to
sab yeh chup ho jayenge!!
wahi rasta wahi manzil
muqaddar wahi hai rahi ka
agar tum saath de doge
faasle kam ho jayenge!!
charag-e-ishq mein jalna
parwanon ko sikhla do
shama ke jaise jal jao
ek hum tum ho jayenge!!
-fauzdar
Search
dard ke samundar mein registan dhoondta hoon
main apne dil ke toote armaan dhoondta hoon!!
waqt ke hi dayre mein badal jate hain log
hota yeh hai ki aadmi mein insaan dhoondta hoon!!
jab zameen na reh saki hamari to kya,
udane ka sapna liye aasmaan dhoondta hoon!!
neelaam kar sake hamein gairon mein wo takat kahan
ab apnon mein chipa wo beimaan dhoondta hoon!!
wo saboot mangta hai dard mujhe dene ka,
to main dil pe lage zakhmon ke nishaan dhoondta hoon!!
maut par bhi hamein aram na mil saka
alam ye hai ki apne liye shamshaan dhoondta hoon!!
mere beete kal ka insaaf mujhe dila sake
is jahan mein baitha wo bhagwan dhoondta hoon!!
- fauzdar
02.28.06
jee chahta hai……
aaj tamanna ke sagar mein doob jane ko jee chahe
har khwab ko haqeeqat mein badalne ko jee chahe
duur bahut hai sahil phir bhi paas jane ko jee chahe
kshubdh padi jeevandhara ko svachhand banane ko jee chahe
supt pada armaanon ka sagar aaj umadne ko jee chahe
ojhal hote saaye ko mann ke aaine mein chupane ko jee chahe
teri yaad mein e sanam ab khud ko bhulane ko jee chahe
na gazal kehne na shayari bas dil ki baat batane ko jee chahe
- saranjali